॥ Shri Salasar Balaji Aarti In English ॥
॥ Shri Salasar Balaji Aarti ॥
Jayati Jai Jai Bajrang Bala,
Kripa Karo Salasar Wala ॥
Chait Sudi Poonam Ko Janme,
Anjani Pavan Khushi Man Mein ।
Prakat Bhaye Sur Vanar Tan Mein,
Vidit Yash Vikram Tribhuvan Mein ।
Doodh Peevat Stan Maat Ke,
Nazar Gayi Nabh Or ।
Tab Janani Ki God Se Pahunch,
Udayachal Par Bhor ।
Arun Phal Lakhi Ravi Mukh Daala ॥
Kripa Karo Salasar Wala ॥
Timir Bhumandal Mein Chhayi,
Chibuk Par Indra Vajra Baaye ।
Tabhi Se Hanumat Kahlaye,
Dway Hanuman Naam Paaye ।
Us Avasar Mein Ruk Gayo,
Pavan Sarv Unchaas ।
Idhar Ho Gayo Andhkaar,
Ut Rukyo Vishva Ko Shwaas ।
Bhaye Brahmadik Behaal ॥
Kripa Karo Salasar Wala ॥
Dev Sab Aaye Tumhare Aage,
Sakal Mil Vinay Karan Laage ।
Pavan Ku Bhi Laaye Saange,
Krodh Sab Pavan Tana Bhaage ।
Sabhi Devta Var Diyo,
Arj Kari Kar Jod ।
Sunke Sabki Arj Garaj,
Lakh Diya Ravi Ko Chhod ।
Ho Gaya Jag Mein Ujiyala ॥
Kripa Karo Salasar Wala ॥
Rahe Sugriv Paas Jaayi,
Aa Gaye Van Mein Raghurai ।
Hari Ravan Sita Maai,
Vikal Phirte Dono Bhai ।
Vipra Roop Dhari Ram Ko,
Kaha Aap Sab Haal ।
Kapi Pati Se Karwayi Mitrata,
Maar Diya Kapi Baal ।
Dukh Sugriv Tana Taala ॥
Kripa Karo Salasar Wala ॥
Aagya Le Raghupati Ki Dhaaya,
Lanka Mein Sindhu Laangh Aaya ।
Haal Sita Ka Lakh Paaya,
Mudrika De Vanphal Khaya ।
Van Vidhvans Dashkandh Sut,
Vadh Kar Lanka Jalaay ।
Chudamani Sandesh Siya Ka,
Diya Ram Ko Aay ।
Hue Khush Tribhuvan Bhupala ॥
Kripa Karo Salasar Wala ॥
Jodi Kapi Dal Raghuvar Chala,
Katak Hit Sindhu Baandh Daala ।
Yuddh Rach Deenha Vikarala,
Kiyo Rakshas Kul Paimaala ।
Lakshman Ko Shakti Lagi,
Laayo Giri Uthay ।
Dei Sanjeevan Lakhan Jiyaaye,
Raghubar Harsh Savay ।
Garab Sab Ravan Ka Gaala ॥
Kripa Karo Salasar Wala ॥
Rachi Ahiravan Ne Maya,
Sovate Ram Lakhan Laaya ।
Bane Vahan Devi Ki Kaya,
Karne Ko Apna Chit Chaya ।
Ahiravan Ravan Hatyo,
Pher Haath Ko Haath ।
Mantra Vibhishan Paay Aap Ko,
Ho Gayo Lanka Naath ।
Khul Gaya Karma Ka Taala ॥
Kripa Karo Salasar Wala ॥
Ayodhya Ram Rajya Keena,
Aapko Daas Bana Deena ।
Atul Bal Ghrit Sindoor Deena,
Lasat Tan Roop Rang Bheena ।
Chiranjiv Prabhu Ne Kiyo,
Jag Mein Diyo Pujay ।
Jo Koi Nishchay Kar Ke Dhyave,
Taaki Karo Sahay ।
Kasht Sab Bhaktan Ka Taala ॥
Kripa Karo Salasar Wala ॥
Bhaktjan Charan Kamal Seve,
Jaat Aat Salasar Deve ।
Dhwaja Narial Bhog Deve,
Manorath Siddhi Kar Leve ।
Karaj Saro Bhakt Ke,
Sada Karo Kalyan ।
Vipra Nivasi Lakshmangarh Ke,
Balkrishna Dhar Dhyan ।
Naam Ki Jape Sada Maala ॥
Kripa Karo Salasar Wala ॥
